Duniyaan ko kaun samjhegaa.....



Dil ki dhadkan ko kaun samjhega
Meri uljhan ko kaun samjhega...

Ek beti agar na ho ghar mein....
Ghar ke aangan ko kaun samjhega.

Dost bankar ke jo rehte hain saath harpal...
Aise dushman ko kaun samjhega. :)

Ab na krna rishton ki baatein na humse...
Tute hue darpan ko kaun samjhega.

Shaq-e-ruswaiyan na ho jin rishto mein
Yaqeen-e-sagar ko kaun samjhega.

Man mein na ho agar adhure sapne
Behti hawaao ki udano ko kaun samjhega...

Chhipne lage agar har chehre pardon pichhe..
Aaine ki sirat ko phir kaun samjhega.......

Honthon pe na ho koi geet agar kisi ke..
Har aur jeet ke mayno ko kaun samjhega...

Gum ke baadal na chhaye agar dunia mein 
Khushi ki khushiyon ko kaun samjhega....

Raat ka andhiyaara na dekhein jo
Subah ke ujiyaaro ko kaun samjhega......

Ho jaaye agar maangne se har cheez haasil 
Jharno ke gir ke uthne ko phir kaun samjhega...

Dil ki dhadkan ko kaun samjhega
Meri uljhan ko kaun samjhega.... :)


Comments

Unknown said…
Hi,Can u please help me knowing the name of shayar who wrote this shayri
Anonymous said…
i wrote it. not a shayar just tried

Popular posts from this blog

Think Different... Be a Programmer.. :P ;)

MY DAD........MY HERO :)

It's my Holy Love for you..<3